English Speaker

Urdu Poetry for you

             wAfA kA SiLa....... 


Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi


            MuJaH yE zIdd Nahe........

Mujeh Ye Zid nahe mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao


Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao


Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao


Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao


Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao


Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao





          DaRd KyA hOtA hAi.......

Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz


                 jO MoSaM BeEt JaTa HaI............

Jo mosam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata
 
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata


                 KiSi ke kAaM nA aaye wo zInDagI..........


Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !

Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !

Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !

Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !

Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !

Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !

Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!


              bEwAfA wAqAt SaY wAfA mAnge,......

Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !

Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !

Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !

Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !

Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !

Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange


              jO kHuShBoO baN ke...............

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !

WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !

Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !

Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !

Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai !!



             jO bHee iS dIl pE gUzArTi hAi.............

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !

Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !

Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !

Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !

Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !!


           MuShKiLoOn kO kArTa JO aAsAn hai......

Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !

Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !

Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !

Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !

Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !

Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !

Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain,
WO bahut nadan hai anjan hai !!


           KuCh AdHuRi kHwAhIsHiAn..........

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !

Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !


Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !

Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !

Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi !

Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !

Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !

Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !


            BaToOn SaY bHee Yeh ..........

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote

Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote

Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote

Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote

Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote

Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote


           LaBoOn Ke SaRsRaHat SaY..........

Labon ki sersarahat se
badan k choor hony tak
Main tujh ko is tarah chahoon
K meri saans ruk jaye
Khataon par khata’ain hon
Na ho kuch baat kehne ko
Main tujh main yoon sama jaoun
K meri saans ruk jaye
Na himmat tujh main ho baqi
Na himmat mujh main ho baqi
Magar itna qareeb aaoun
K meri saans ruk Jaye
Tere honton pe jab rakhoon
Main apny hont kuch aise
Ya teri pyaas bujh jaye
YA MERI SAANS RUK JAYe


          SaArAy WaDoOn kOoO..........

Saarey waadon ko bhula sakta hun
lekin rehne do...

Main tumhein chor k ja sakta hun
lekin rehne do..

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz
faisla mein bhi suna sakti hun
lekin rehne do..

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali
us per main muskura b sakta hun
lekin rehne do..

Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do..


            wOh PaThAr Dil SaHe..........

Woh pathar dil sahe hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha


            kIsI rOoOoOz TuM kOoO bhe........

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,

tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,

tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.

meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,

mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,

or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,

or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,

or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,

us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….