English Speaker

lOvE in UrDu SmS

Kitna pyaar karte hain tumse

Kitna pyaar karte hain tumse
Kaash tumko bhi yeh ehsaas ho jaye



ye aisa qarz hai jo  .......

ye aisa qarz hai jo me ada kar he nahe sakta
me jab tk ghar na loton meri maan sajde me rehti hai

Kitna pyaar karte hain tumse
 
Kitna pyaar karte hain tumse
Kaash tumko bhi yeh ehsaas ho jaye
Magar aisa na ho ke
Woh hosh mein tab aaaye
Jab hum gehri neend mein so jaaye

teri har ada hamare liye.....
 
teri har ada hamare liye ek saza hai
teri muskan hamare liay ek nasha hai
teri har ada py mosam badalta hai
teri muskurahat py sawan barasta hai
phly jo to muskurai thi to bhaar aai thi
ab k jo to khul k hansi to phool bhi khl utha hai
tery ada k charchy ho gay itny buland
k teri har ada dekhny ko ye dil machal ta hai

hum wo nahi jo....... 

hum wo nahi jo kelthe hai dilo se, hum dilo ko milane ka kaam karthe hai.
itna mat otro is dil par, hum dilo ko chorane ka hunar janthe hai.

koi kanton se pyar karta hai,...

koi kanton se pyar karta hai,
koi foolon se pyar kartahai,
hum to usase pyar karytain hain,
jo hum se pyar karta hai

KITNA MUSHKIL HAI MOHABBAT KI KAHANI LIKHNA.
JAISE PAANI PE....PAANI SE.... PAANI LIKHNA.

chehare pe mere zulf ko.....
chehare pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din
khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din


teri khusi teri zindagi......
teri khusi teri zindagi ki dua mangu,
tere liye aur kya mangu,
tu mere hisse ki sari khushiya leja,
mai iske badle me teri wafa mangu.

bohat udas hai.......
bohat udas hai tere chup ho jane se..
ho sakhe to koi kar kissi bahane se..
tu lakh khafa sahi par itna to dekh ..
koi toot gaya ha tere roth jane see.


Ek ajnabi se mujhe......

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.


itna qareeb aao k........!
itna qareeb aao k ji bhar k dekh lein,
shayad k phir milo to ye zoq-e-nazar na ho.
aaye ho ab k jo tum to aik shab qayaam kr lo,
shayad k phir guzar ho to mera ghar na ho,
mumkin hai k tarteeb-e-waqt main aisa b lamha aaye.
k dastak ko tera hath uthey aur mera dar na ho..?


Seenay se laga loon......
Seenay se laga loon to lag jati hai seenay se
Tum se to kahin achi tasveer tumhari hai


mili har qadam per.......
 
mili har qadam per rafaqat tumhari
kahan hum kahan yeh inayat tumhari
humay chahiya bus ta’aluq tumhara
muhabbat milay yah adawat tumhari
kisi say bhe milna usay jeet laina
bari dil nashen hay yeh adat tumhari


Agar wo apni Mohabat.....!

Agar wo apni Mohabat Hume banalay
hum Unka har khwab apni palko Pe Sajalay
karegi kaise maut hame unse juda
Agar vo hame apni RUH me basalay



Ab koi aur muje dil nahi daine wala

SAGAR..

Log khete hain mere ankhon mein tera chehra nazar ata hai.
A moja-e-hawa to he bata
wo dost hamra kaisahai? 





Yeh Aarzu thi k.........


Yeh Aarzu thi k aisa bhi kuch huwa hota,
Meri Kami nay , Tujhey bhi Rula dia hota,
Main Laut Aata Teri Simt Ek Lamhain main,
Tere Labon nay Mera Naam to Lia hota.



Na khwabon me dekha...!

Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha



us k honton k........
us k honton k nishan chor aaya hoon.
us ne maangi thi mohabbat ki nishani mujh se



main jazbat se behal jaoon...
 
main jazbat se behal jaoon ye ab mumkin nahi yaaro,
main pathar hun mujhe torro kisi pathar se ae-yaro.




neend se kiya shikwa karun main....!!

sagar

qasoor to us chehray ka hai jo mujhe sonay nahi deta.....!




usko bhut chaha ..........

usko bhut chaha magar woh mila hi nhi,
laakh koshish ki magar faasla mita hi nhi,
usko zamane ne majboor isqadar kar diya,
k woh meri kisi sada par thehra hi nhi,
har ek se pocha sabab uske na milne ka,
har ek ne kaha woh k tere liye bana hi nhi.





aik baat btau raaz ki ...?

kero us lerki say ishq,
jis k chehre pay ho saadgi,
sanso main ho taazgi
chandni ho chand ki
rani ho raat ki
khushbu ho gulaab ki
batain keray piyaar ki
nazuk ho mizaaj ki
achi ho ikhlaq ki
paband ho namaaz ki
khidmat keray maan baap ki
our kahay main hoon siraf aap ki !!!


Barbaad Karne Ke aur Bhi The Raaste Bhut,
Najaane Usse Mohobbat Ka Hi Khayaal Kiyun Aaya….



kaise bhulai ga woh mairi berson ki yad ko
faraz
darya agar sookh bhi jae to rait se nami rahti hai



aapki zindagi mein....
aapki zindagi mein kabhi koi gam na ho
aapki aankhe kabhi nam na ho
aapko mile zindagi ki har khushi
bhalehi uss khushi mein hum na ho.




banke ik saaya wo.......
banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!
na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........
aahat se uski mujhe hone lagi thi wahshat,
par woh mujh ko paigham-e-mohabbat de gaya tha !
dil mein uthi tadap, us ki sakhawat dili ki wajah se,
aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!
us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab
warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha
dekha jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,
sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!





Apna Hi Ghar Bhul Gaye.....

khoob gaye pardes,
ke apne deewaron-dar bhool gaye….
sheesh mahal ne aisa ghera
mitti ki ghar bhool gaye
uski galiyoon se jab laute
apna bhi ghar bhool gaye